Tuesday, November 15, 2011

Yeh.... Aaj ki Zindagi

ek khwaish si hai zindagi..
ek aazmaayish si hai zindagi..
kisi hod mein fasi hui si hai zindagi...
rukk ar sisakti si hai zindagi..
daud kar thakti si hai zindagi..
ek aazmayish si hai zindagi ..
ek khwaish si hai zindagi

gar khwaish ho puri ..
to khushi ki fuhaar si hai zindagi...
aazmayish ke baad na ho haath khali...
to aksar ek numaish si hai zindagi...
daud mein niklo aage..
ek tamge mein samayi si hai zindagi..
aur kinara kar ke dekho to..
aksar insaan ki ghulam hai zindagi..




ek nirantar dhara si firbhi hai zindagi..
dhara jaisi khud ko nirantar naya banati hai zindagi..
ek nashe si bhi hai zindagi...
kyun ki har nas nas meni rahti aur bahti hai zindagi...
har din suraj si aati hai ek nayi zindagi..
aur chand si sheetal chandni andhere mein deti hai zindagi..
chandni mein sapne piroti hai yeh zindagi..
ek khwaish si hai yeh zindagi

V.B. 15th November - 20th November, 2011