Wednesday, September 14, 2011

ek aane ka sach..

main sirf ek aana hoon.. aaj ka zamana rupye aur paison ka hai.. main isme ak aana hoon...
aise to zamane ko meri koi zaroorat nahi mehsoos hoti lekin jab logon ke paas kisi naye shahar mein thoda samay hota hai to museum mein jakar mujhe dekhna man kafi khushi hoti hai.. mujhe dekhte hue.. nawvadhu ka haath uska pati pakd leta hai aur dono mein romance ho jata hai..
mujhe dekhte hue gusse se alag thalag hue dampatti bhi ekdoosre ke paas akar apni ekta ko jagruk kar gussa pee jate hain ..
mujhe dekhte hue kitne Boyfreind apni girlfreind ko kissa sunate hue "patate" hain...
thik waise hi jaise kisi chote bachche ke ma baap use meri kahani suna kar rijhate hain..

par main ek display mein band item matra hoon.. shanti se ek sthir bhaav se sab kcuh mahsoos karta hoon . dekhte hoon samajhta hoon .. lekin kuch kahta nahi.. gir kar awaaz karta hoon ya takra kar.. lekin use koi na to sunta hai aur na samajhta hai...main chup chap apni jagah mein pada rahoon tabhi achcha hooon...

mere saamne jo aata hai woh meri banavat and dhalti umar ko dekh kar apna man banata hai .. ki main dekhne layak hoon ya uske samay ki barbaadi hoon.. aakhir main sirf ek aana hoon...

waise majboori mein bade kaam ki cheez hoon.. bechne par apni rupye mein keemat se zyada hi laata hoon kyun ki main antique hoon.. aur kafi achche dhatu se bana hoon isliye "thos" hooon ..agar kuch na ho to mujhe bech kar kahin bhi fit kr ke kafi kaam ban sakta hai.. suna hai kayi automatic locks mere kone se ghumne par khul jate hain.. main kaam pade to aise hi tale kholne wali chaabhi hoon.. lekin agar mueseum main qaid hoo to sirf ek item matra hoon.

waise socho to is duniya mein sabhi buddhe aur purane logon ka yahi haal hain. item matra hain.. sab kuch dekhte hain samajhte hain .. lekin kh kuch nahi sakte.. jab tak apni jaagh baithe hue hain tabhi tak achche hain.. uske siwa waqt ki barbaadi hain.. aur haan waqt pade to kafi kaam ki cheez hote hain khas kar jab chote bachchon ko palna ho.. unki dekh rekh karni ho aur unhe kuch sikhana ho..ie automatic locks ke liye main ek mast chabhi hooon.. kyun ki logon ki apni chabhiyan to aaj ki bhag daude mein kab kahan gir kar kho gayi kisi ko bhi pata nahi....

buddha samjho ya antique main sirf ek aana hoon..waise kaam aata hoon to main sirf "anna" hoon

1 comment:

nupur said...

very nice post...accidentally stumbled on this